Sankata Mata Aarti (संकटा माता आरती)

 

Thank you for reading this post, don't forget to subscribe!

Jai Jai Sankata Bhawani,

Karahoon Aarti Teri ।

Sharan Padi Hoon Teri Mata,

Araj Sunahoon Ab Meri ॥

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Nahin Kou Tum Saman Jag Data,

Sur-nar-muni Sab Teri ।

Kasht Nivaran Karahu Hamara,

Lavahu Tanik Na Deri ॥

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Kaam-krodh Aru Lobhan Ke Vash

Paapahi Kiya Ghaneri ।

So Aparadhan Ur Mein Aanahu,

Chhamahu Bhool Bahu Meri ॥

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Harahu Sakal Santap Hrday Ka,

Mamta Moh Niberi ।

Sinhasan Par Aaj Birajen,

Chanvar Dhurai Sir Chhatr-chhateri .

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Khappar, Khadg Hath Mein Dhare,

Wah Shobha Nahin Kahat Baneri ।

Brahmadik Sur Paar Na Paaye,

Haari Thake Hiy Heri ॥

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Asuranh Ka Vadh Kinha,

Prakateu Amat Dileri ।

Santan Ko Sukh Diyo Sada Hi,

Ter Sunat Nahin Kiyo Aberi ॥

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Gaavat Gun-gun Nij Ho Teri,

Bajat Dundubhi Bheri ।

As Nij Jaani Sharan Mein Aayoon,

Tehi Kar Phal Nahin Kahat Baneri ॥

॥ Jai Jai Sankata Bhawani.. ॥

Jai Jai Sankata Bhawani,

Karahoon Aarti Teri ।

Bhav Bandhan Mein So Nahin Aavai,

Nishadin Dhyaan Dhariri ॥

Jai Jai Sankata Bhawani,

Karahoon Aarti Teri ।

Sharan Padi Hoon Teri Mata,

Araj Sunahoon Ab Meri ॥

Advertisement

Advertisement

spiritual travel and pilgrimages