Aadinath Chalisha

 Aadinath Chalisha (श्री आदिनाथ चालीसा)

॥ Doha ॥

Sheesh Nava Arihant Ko,

Thank you for reading this post, don't forget to subscribe!

Siddhan Ko, Karoon Pranam ।

Upadhyay Aachary Ka,

Le Sukhkari Naam ॥

Sarv Sadhu Aur Saraswati,

Jin Mandir Sukhkaar ।

Aadinath Bhagwan Ko,

Man Mandir Mein Dhaar ॥

॥ Chaupai ॥

Jai Jai Aadinath Jin Swami ।

Teenkaal Tihoon Jag Mein Naami ॥

Vesh Digambar Dhaar Rahe Ho ।

Karmo Ko Tum Maar Rahe Ho ॥

Ho Sarvagya Baat Sab Jaano ।

Saari Duniyan Ko Pehchano ॥

Nagar Ayodhya Jo Kahalaye .

Raja Nabhiraj Batlaye ॥ 4 ॥

Marudevi Mata Ke Udar Se ।

Chait Vadi Navami Ko Janme ॥

Tumne Jag Ko Gyan Sikhaya ।

Karmbhoomi Ka Beej Upaya ॥

Kalpavriksh Jab Lage Bichharne ।

Janta Aai Dukhda Kahane ॥

Sab Ka Sanshay Tabhi Bhagaya ।

Soorya Chandra Ka Gyan Karaya ॥ 8 ॥

Kheti Karna Bhi Sikhlaya ।

Nyaya Dand Aadik Samjhaya ॥

Tumne Raaj Kiya Neeti Ka ।

Sabak Aapse Jag Ne Seekha ॥

Putra Aapka Bharat Bataya ।

Chakravarti Jag Mein Kahalaya ॥

Bahubali Jo Putra Tumhare ।

Bharat Se Pahale Moksh Sidhare ॥ 12 ॥

Suta Aapki Do Batlai ।

Brahmi Aur Sundari Kahalai ॥

Unko Bhi Vidhya Sikhlai ।

Akshar Aur Ginti Batlai ॥

Ek Din Raajsabha Ke Andar ।

Ek Apsara Naach Rahi Thi ॥

Aayu Uski Bahut Alp Thi ।

Isliye Aage Nahin Nach Rahi Thi ॥ 16 ॥

Vilay Ho Gaya Uska Satwar ।

Jhat Aaya Vairagya Umadkar ॥

Beto Ko Jhat Paas Bulaya ।

Raaj Paat Sab Mein Bantvaya ॥

Chhod Sabhi Jhanjhat Sansari ।

Van Jane Ki Kari Taiyari ॥

Raav Hajaron Saath Sidhae ।

Raaj Paat Taj Van Ko Dhaye ॥ 20 ॥

Lekin Jab Tumne Tap Kina ।

Sabne Apna Rasta Lina ॥

Vesh Digambar Tajakar Sabne ।

Chhaal Aadi Ke Kapde Pahane ॥

Bhookh Pyas Se Jab Ghabraaye ।

Phal Aadik Kha Bhookh Mitaye ॥

Teen Sau Tresath Dharm Phailaaye ।

Jo Ab Duniyan Mein Dikhlaaye ॥ 24 ॥

Chhai: Mahine Tak Dhyan Lagaye ।

Phir Bhajan Karne Ko Dhaaye ॥

Bhojan Vidhi Jaane Nahi Koy ।

Kaise Prabhu Ka Bhojan Hoy ॥

Isi Tarah Bas Chalte Chalte ।

Chhah Mahine Bhojan Bin Beete ॥

Nagar Hastinapur Mein Aaye ।

Raja Som Shreyans Bataye ॥ 28 ॥

Yaad Tabhi Pichhala Bhav Aaya ।

Tumko Phauran Hi Paddhaaya ॥

Ras Ganne Ka Tumne Paaya ।

Duniya Ko Updesh Sunaya ॥

Paath Kare Chalisa Din ।

Nit Chalisa Hi Baar ॥

Chandkhedi Mein Aay Ke ।

Kheve Dhoop Apaar ॥ 32 ॥

Janm Daridri Hoy Jo ।

Hoy Kuber Saman ॥

Naam Vansh Jag Mein Chale ।

Jinke Nahin Santan ॥

Tap Kar Keval Gyan Paaya ।

Moksh Gaye Sab Jag Harshaya ॥

Atishay Yukt Tumhara Mandir ।

Chandakhedi Bhanvare Ke Andar ॥ 36 ॥

Uska Yah Atishay Batlaya ।

Kasht Klesh Ka Hoy Saphaya ॥

Maantung Par Daya Dikhai ।

Janjire Sab Kaat Girai ॥

Rajsabha Mein Maan Badhaya ।

Jain Dharm Jag Mein Phailaya ॥

Mujh Par Bhi Mahima Dikhalao ।

Kasht Bhakt Ka Door Bhagao ॥ 40 ॥

॥ Srota ॥

Path Kare Chalisa Din,

Nit Chalisa Hi Baar ।

Chandkhedi Mein Aay Ke,

Kheve Dhoop Apar ॥

Janm Daridri Hoy Jo,

Hoy Kuber Saman ।

Naam Vansh Jag Mein Chale,

Jinke Nahin Santan ॥

Aadinath Bhagwan: Jain Dharm ke Pratham Tirthankar

Aadinath Bhagwan ka Parichay

>  Aadinath Bhagwan, jinhें Rishabh Nath bhi kaha jaata hai, Jain dharm ke pratham tirthankar hain. Unhein Jain dharm ke pravartak aur pratham siddh purush maana jaata hai. Aadinath Bhagwan ka janm Ayodhya ke raja Naabhiraj aur rani Marudevi ke yahan hua tha. Unke putra Bharat ke naam par hi hamare desh ka naam ‘Bharat’ pada.

 

Aadinath Bhagwan ki Katha aur Jeevan

Aadinath Bhagwan ka jeevan anginat shikshaon aur preranaon se bhara hua hai. Unhone apne prarambhik jeevan mein rajkaj sambhala aur apne putra Bharat ko raja banaya. Baad mein sansarik moh-maya ko tyaagkar ve tap aur sadhna ke marg par nikal padey.

Aadinath Bhagwan ne 400 din ki kathor tapasya ke baad kevalgyan (sargyan) praapt kiya aur sansar ko dharm ka updesh diya. Unhone Ashtmangal (ahinsa, satya, achurya, brahmacharya, aparigrah aadi) ke siddhanton ki sthapna ki, jo aaj bhi Jain dharm ke mool siddhant maane jaate hain.

Aadinath Bhagwan ki Pooja aur Mahatva

1.  Dharm ki Neev: Aadinath Bhagwan ne jeevan ke chaar pramukh purusharth (dharm, arth, kaam aur moksh) ki shiksha di aur apne updeshon se logon ko moksh marg ki ore prerit kiya.

2. Aadhyatmik Jagran: Unki shikshaen ahinsa, tapasya, aur sanyam par aadharit hain, jo manushya ko atmagyana aur moksh praapt karne ke liye prerit karti hain.

3. Pooja ka Mahatva: Jain dharmavalambi ke liye Aadinath Bhagwan ki pooja vishesh mahatva rakhti hai. Unki pratima ko shaant aur dhyaanmagna avastha mein dikhaya jaata hai, jo dhyaan aur atmasakshatkar ka pratik hai.
Aadinath Bhagwan ke Pramukh Teerth Sthal

4. Shikharji (Parasnath Parvat): Yeh Jain dharm ke sabse pavitra teerth sthal mein se ek hai, jahan Aadinath Bhagwan ne moksh praapt kiya tha.

5. Ayodhya: Aadinath Bhagwan ka janm sthal, jise Jain dharmavalambi atyadhik pavitra maante hain.

6. Palitana: Yahan Aadinath Bhagwan ka vishal mandir hai jo Jain dharm ke mahaan teerth sthal mein se ek hai.

Advertisement

Advertisement

spiritual travel and pilgrimages